Jab guzar jaye gi Bahaar to Kya Karo gay Yaad aaye ga Mera Pyaar to Kya Karo gay . Satatey ho aise jaise Ajnabi hoon Main Jab Roothe ga Tum se Yaar to Kya Karo gay . Apnao gay kisi aur ko mujhe tanha chor kar Usey hoga na tum se Pyaar to Kya Karo gay . Aakhir Laut aao gye Tum Meri Raahon pe Phir milega na pehla Pyaar to Kya Karo gay . Abhi to Hanste ho Meri Wafa’on pe ‘MOHSIN’ Yaar phir Rona bhi hoga Bekaar to Kya Karo gay
Bay zubaan logon ko
Baqarar ankhoon ko
Badnaseeb qadmoon ko
Jis tarf bhi lay jain
Rastoon ki marzi hay
Bay nishan jazeeron per
Bad guman shehroon main
Bay zubaan musafir ko
Jis tarf bhi bhatka dain
Rastoon ki marzi hay
Ajnabi koi laa kr
Hum safar bana dalain
Saath chalny waloon ki
Raakh bhi urra dalain
Ye musaaftain sari
Khaak main milla dalain
Rastoon ki marzi hay
Rook lain ya barhnay dain
Thaam lain ya girnay dain
Wasal ki lakiroon ko
Tor dain ya milnay dain
Rastoon ki marzi hay